Skip to main content

erectile dysfunction treatment, napunsakta nasak achuk ayurvedic nuskhe

erectile dysfunction treatment
napunsakta nasak ayurvedic nuskhe

Erectile dysfuntion treatment
Erectile dysfuntion treatment

Dosto is lekh me janege erectile dysfuntion yani napunsakta kya he.erectile dysfuntion ke karan or erectile dysfunction ka ilaj kya he.
Dosto napunsakta ka sidha arth he purush me punsatv ya poarush yani mardana taqat ki kami hona jo vyakti  maithun ya ratikriya me asmarth hote he bah napunsak kahlate he.purush me lingotthan me kami ya kharabi aana hi erectile dysfuntion ya napunsakta he.

Dosto aaj ki is aniymit doadhti bhagti jindgi me vyakti apne khan paan or rahan sahan ka dyan na rakhne ke karan bhi napunsakta se grasit hote ja rahe he.

 bajar ka adhik masaledar or badi badhane bale padartho ka adhik sevan , adhik nasha karne or uchit poshan yukt chijo ka sevan na karne ke karan sharir kamjor or durbal ho jata he jiske karan vyakti ki maithun shakti me kami aa jati he.

Dosto napunsakta ya erectile dysfuntion sharirik or mansik dono tarah ki hoti he .vyakti erectile dysfuntion se saririk ki apeksha mansik roop se jyada grasit hote he.isme vyakti napunsak na hote huye bhi napunsak hone ke bhram me rahte he.

Napunsakta ya erectile dysfuntion ke sharirik or mansik karan

1- janmjaat aaviksit andhkosho ki bajah se napunsakta jiska ilaj mushkil hota he.
2- kuchh vyakti shahi harmons na ban pane ya harmons ki kami ke karan napunsak ho jate he.
3- aaj kal adhiktar vyakti madhumeh rog ki bajah se bhi napunsak ho jate he
4- or kuchh vyakti adhik madirapaan or anya nashile padartho ke adhik sevan se bhi napunsakta se grasit ho jate he.
5- bachpan me kusang me padhkar hasthmaithun jaise buri aadato ke karan kuchh logo ki naso me kharabi aa jati he .jisse bah apne aap ko napunsak samjhne lagte he.
6- kuchh vyakti shighrapatan jaisi bimari ke karan apne aap ko napunsak samjhte he.
7- bivah se pahle adhik maithun kriya karne or bivah ke baad atyadhik ratikriya karne ke karan bhi napunsakta aa jati he.

Napunsakta ya erectile dysfuntion ke ayurvedic nuskhe

Napunsakta ka ilaj
Napunsakta ka ilaj

1- agar kisi vyakti ko ye lagta he ki usme mardana taqat ki kami he to aise vyakti ko subah sham 1 gilas dudh me 2 chammach shuddh shahad mila kar peete rahna chahiye .ye napunsakta dur karne ka sabse saral or bahut asarkarak upay he.

2- safed pyàaj ke rus ko barabar shahad me mila kar garam kare or jab aadha shes bache to utar kar jar me bhar kar rakh le or subah sham 1 chammach kunkune dudh se sevan kare ye prayog napunsakta dur karne ka rambaan prayog he.

3- peepal vraksh (tree) ke fal ko shukha kar barik pees kar churn bana le or 6-6 gram subah sham shahad mila kar sevan kare or upar se 1 gilas kunkuna gaay ka dudh pee le .ye prayog sharir me bal virya ko badhane or napunsak ko mard banane bala achuk upay he.

4- koach ke chhilka rahit beej ,
talmakhana, satavar, gokharu, atibala or nagbala in sabi chijo ko 100-100 gram lekar barik pees kar churn bana le or achchhi tarah se aapas me mix karke 2-3 bar chhan le jisse sabhi dravya achchhi tarah se mix ho jaye ab is churn ki 1 chammach matra subah sham kunkune mishri ta shahad mile dudh se lagatar 2-3 mahine sevan karne se napunsakta ka nash ho jata he

5- safed musli, salab musli, satavar,koach ke beej chhilka rahit ye sabhi 50-50 gram le or ashvagandha 200 gram or 200 gram khand le or in sab ko barik koot pees kar churn bana kar aapas me achchhi tarah mila kar 2-3 bar chhan le or fir is churn ki 6-6 gram ki matra subah sham kunkune dudh se 2-3 mahine tak lagatar sevan kare.ye prayog bajikarak or mardana taqat badhane bala nayab nuakha he.

6- napunsakta se grasit vyakti ko roj subah lahsun ki 2 kali shahad me mila kar khana bahut hi labh kari hota he.

Potentveda Shilajit & Ashwagandha
extract Gold Plus for Extra Strength & Stamina Men 


https://amzn.to/2BRyOO4
                         Shop now

Dosto in upay ya prayogo ke doaran jyada tel masale , gudh or khatti badi yukt chijo ka parhej karna jaruri he .

Dosto in upayo or nuskho ke alava erectile dysfuntion ya napunsakta se grasit vyakti ko apne khan paan ka bhi vishesh dyan rakhna chahiye.

Napunsakta se pidhit vyakti  ko lahsun, pyaaj,udhad,bhune chane,moong ,singadhe,tarbooj,kela dudh, khajoor,kharak dudh, aadi ka sevan karna labhkari hota he.iske alava akhrot, anjeer,badaam,or munakke aadi dry food ka sevan niymit roop se karna bhi napunsakta me labhkari hota he.

Dosto hamne aap tak napunsakta nasak kuchh uchit jankari pahuchane ki ek koshis ki he.agar aap ko hamara ye lekh labh prad lage to hame subscribes jarur kare .jisse hamare lekh sidhe aap tak pahuch sake .

Disclaimer

Dosto hamne app tak ayurvedic or gharelu nuskhe ki sahi or uchit jankari pahuchane ki puri koshis ki he.fir bhi app kisi bhi nuskhe ya ayurvedic medicine ke upyog se pahle kisi yogya vaid ya chikitsak ki salah jarur le.kyoki her bimari or vyakti ki taseer alag - alag hoti he .atah kisi bhi jankari ya vigyapan se hone bale nuksan ke liye lekhak(writer) or blog owner ki koi jababdari nahi hogi .dhanyabad

Shighrapatan rokne ke liye ise padhe.
 Shighrapatan rokne ke upay Shighrapatan ke gharelu nuskhe 



Comments

Popular posts from this blog

धात रोग या धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये हिन्दी मे ।धात का ईलाज

धात का ईलाज धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये                   gharelu nuskhe                                                                      दोस्तो धातु रोग या धात गिरना धात आना या जिसे हम शुक्रप्रमेह के नाम से जानते है यह हे क्या ओर इसके क्या कारण है तथा इसके क्या नुकसान है तथा इसको ठीक करने के क्या उपाये है। धातु रोग क्या है दोस्तो मल मूत्र से पहले या बाद मे मूत्रनली से कभी-कभी सफेद रंग का चिपचिपा सा द्रव्य का निकलना ही धात रोग कहलाता है।यह सफेद चिपचिपा पदार्थ ही मनी या वीर्य होता है जिसे धातु कहते है । धातु रोग के कारण धात आना या धात गिरने या धातु रोग के ज्यादातर ये कारण होते है । - कामुक विचारों मे लीन रहना - पेट मे हमेशा कब्ज रहना - मनी का अधिक जमा हो जाना - मनी का अधिक पतला होना - संभोग की अधिकता - गरम ताशीर से स्वभाव मे अधिक ताप होना ओर गरम चीजों का अधिक सेवन करना - खाना खाने के तुरंत बाद संभोग करने से गुर्दे की चर्बी पिघलने लगती है ।जिससे धात रोग की उत्पत्ति होती है धातु रोग से नुकसान - कमर मे दर्द होना - आंखों मे अंधेरा छाना - चक्करों का आना - घुट

Masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe,irregular periods symptoms and home remedy

Irregular periods symptoms and treatment, masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe   Nuskhe  Mahilao ko har mahine reguler aane bali ek samany kriya he lekin kisi karan is kriya me aniymitta ya kisi prakar ki gadhbadhi aa jati he to use masik dham ki aniymitta ya Irregular menstruation  kahte he. isse mahilao ko kai pareshaniya hone lagti he atah samay per iska ilaj karna bahut jaruri he.agar koi mahila garv se hoti he to ye kriya svatah hi ruk jari he.jiski janch kara kar pushti kara lena chahiye ki period na aane ka koi or karan to nahi he.agar kisi anya karan se peirod ya masik dharm nahi aa rahe he to uska sahi ilaj jaruri he.period ya masik dharm ka na aana ya adhik aana hi masik dharm ki aniymitta ya Irregular period problem he. Narmol period ya masik dharm aane ki samay avdhi 28 dino ki hoti he par kabhi kabhi kam me22- 24 or jyada me 35 tak ho sakti he jo samanya baat he lekin isse kam ya jyada hona masik dharm ki aniymitta ya Irregular period kahlata

घरेलू नुस्खे;21 घरेलू आयुर्वेदिक प्राचीन अचूक रामबाण नुस्खे,उपाये,तरीके

घरेलू उपाये,आयुर्वेदिक नुस्खे,प्राचीन तारीके  दोस्तों प्राचीन समय में ऋषि-मुनियों ने समय-समय पर जड़ी बूटियों के माध्यम से नए-नए प्रयोग करके ऐसे चमत्कारी नुस्खे तैयार किए जिने हम घरेलू आयुर्वेदिक दादी मां के नुस्खे के नाम से भी जानते हैं।इन चमत्कारी नस्खो के माध्यम से हम  घर बैठे ही कई रोगों का निदान कर सकते हैं।तो आइए जानते हैं कुछ ऐसे ही चमत्कारी घरेलू आयुर्वेदिक नुस्खे,उपाये और तरीके के बारे में जो बहुत सरल और बेहद लाभकारी है gharelu nuskhe घरेलू,आयुर्वेदिक नुस्खे,उपाये,तरीके  1- अनार के दाने,छिलके,पत्ते,को पीसकर सरसों के तेल मे अच्छी तरह पकाकर छान कर शीशी में भरकर रख ले ।ओर दिन मे 2-3 बार इस तेल को बालो की जड़ो मे लगाकर हल्के हाथों से मालिश करे ।इससे कुछ ही दिनों में बालो का झड़ना बंद हो जाता है।  2- ऑवले के एक चम्मच चूर्ण को रात को पानी मे घोल कर रख दे ओर सुबह इस घोल मे आधे नीबू का रस अच्छी तरह मिलाकर इस घोल से बालो की मालिश करे तथा 10-15 मिनिट बाद बालो को धो ले ।हर दिन यह उपाऐ करने  से बाल स्वतः ही काले होने लगते है।तथा असमय बाल सफेद होने की शिकायत ठीक होती है।