Skip to main content

Sugar ya diabetes ko control karne ke gharelu or ayurvedic nuskhe (diabetes symptoms and treatment)

Sugar ya diabetes ko control karne ke gharelu or ayurvedic nuskhe( diabetes treatment  )

Diabetes treatment

         Dosto aaj -kal aniymit jeevan shaili or galat khan paan ki bajah se diabetes yani sugar ke marijo ki sankhya dino din badhti hi ja rahi he.
diabetes ya sugar rog he kya.dosto jab khoon me sugar ya sharkara ka level samany se jyada ho jata he to use sugar ya diabetes rog kahte he.sugar rog tab hota he jab liver se judhi pancreas namak granthi me nirmit hone bale insulin namak harmons ka nirmaan kam hone lagta he.insulin harmons ka sahi matra me nirmit hona sugar ya diabetes ko control me banay rakhta he.
iske alava aaj kal ki aniymit jivan shaili me diabetes ya sugar hona samay bat ho gai he. sugar ya dibetes hone ke kai karan he.jaise -

Sugar ya diabetes ke karan

 - liver or chayapachay ya pachan sansthan ka dushit hona.
- yog or vyayam na karna
- mehnat ya parishram na karna
- din bhar aaram karna
- aniymit dincharya
- motapa badhana
- mansik tanaav rahana
- adhik bhog vilas karna
- neend puri naa hona
- din bhar baithe baithe kam karte rahna
- sugar yukt chijo ka adhik sevan karna
- or kuchh paitrak prabhav ke karan sugar ya diabetes rog ho jata he.

Diabetes ya sugar ke lakshan(diabetes symptoms)

- mukh sukhana
- bar bar pyas lagna
- bar bar peshab aana
- mutra ganda or gadha pila rang ka hona
-sharir me susti bani rahna
- kamjori aana
- chot ya ghav ka der se thik hona ya thik na hona.
- hanth pairo me junjuni hona
- vajan kam hona
- kabj ka bana rahna
- bhookh bahut lagna
- yuan durbalta or aankho ki rosni me kami aana.

Sugar ya diabetes ke gharelu or ayurvedic nuskhe(diabetes treatment)

diabetes treatment

 1- jamun ki guthali ka churn 10 gram , soanth churn 50 gram , gudhmaar ki patti ka churn 100 gram in sab ko gvarpaadhe yani alovera ke rus me pees kar chane ke barabar goliya bana le or din me 3 bar 1 goli ka sevan shahad se kare .ye prayog sugar ya diabetes ko control karne me bahut labhdayak he.

Nutriherbs 100% Natural & Organic Jamun Extract 800 Mg 90 Capsules (Pack Of 1)

                            Shop now

2- gudhmaar ki patti ka rus 1 oas ki boond ke barabar matra me roj subah sevan karna bhi diabetes ya sugar me labhdayak hota he.

3- aam ya mango ke pedh se gire huye patto ko sukha kar barik churn bana le or subah sham 3 gram ki matra pani se lene par kuchh dino me sugar control me aa jati he.

4- jamun ki chhal, guthali or patti ko bara bar matra me lekar sukha kar barik churn bana le or subah sham 6- 6 gram ki matra ka sevan pani se kare is prayog se sugar ya diabetes bahut jaldi control me aa jati he.

5- sugar ke mareej ko jyada se jyada karele ka sevan karna chahiye iske alava subah khali pet 1 gilas karele ke rus me 2 chammach alovera ka rus milakar peene se sugar me bahut labh hota he.

6- karele ke beej, neem ki patti, jamun ki guthali, neem chadhi giloy, gudhmaar, vijaysaar, ajavayan, maithi dana ye sab 50 gram le. or soanf , chirayta, aamba haldi, kutki, tulsi patra, haldi, bel patra, chhota gokharu, kala jeera, tribang bhasm ye sab 25 gram le. Or in sab ko koot pees kar chhan kar barik churn bana kar sab ko achchhi tarah se mix kar le ab is churn ko 1 chammach ki matra me khana khane se 1 ghanta pahale pani se sevan kare.ye nuskha sugar ya diabetes ko control karne me bahut asar karak he.

7- bel patra ka churn 200 gram, jamun ki guthali ka churn 100 gram, tej patra ka churn 50 gram, maithi ka churn 50 gram, aam ke patto ka churn 50 gram in sab ko aapas me achchhi tarah mila kar ek jaan kar le or fir is churn ki ek chammach khurak subah sham khana khane se ek ghanta pahale pani se sevan kare. Is nuskhe ke prayog se bhi  sugar bahut jaldi control me.aa jati he.

Diabetes ya sugar ki kuchh ayurvedic daway(diabetes treatment)

 - Basant kusumakar rus 1-1 goli kunkune dudh se subah sham

- Chadraprabha vati 1 se 2 goli shahad se subah sham

- daybigon powder 2-4gram subah sham pani se

- Madhumehari grenyuls 1 chammach subah sham pani se le.           

Dosto in sab upayo ke alava diabetes me poshak tatvo se yukt uchit santulit bhojan kare sugar se bani chijo ka parhej kare subah sham kam se kam 2-3 kilo meter paidal jarur chale or pratidin yog,pranayaam or halke vyayam kiya kare tatha apne chikitsak se uchit paramars jarur lete rahe or diabetes ya sugar check karate rahe

Dosto agar apko hamare is lekh se labh ho to hame subscribs bhi jarur kare jisse hamare aane bale lekh sidhe aap tak pahuch sake. Danyabad

Disclaimer

Dosto hamne app tak ayurvedic or gharelu nuskhe ki sahi or uchit jankari pahuchane ki puri koshis ki he.fir bhi app kisi bhi nuskhe ya ayurvedic medicine ke upyog se pahle kisi yogya vaid ya chikitsak ki salah jarur le.kyoki her bimari or vyakti ki taseer alag - alag hoti he .atah kisi bhi jankari ya vigyapan se hone bale nuksan ke liye lekhak(writer) or blog owner ki koi jababdari nahi hogi .dhanyabad
Ye bhi padhe-
Erectile dysfuntion treatment napunsakta nasak achuk nuskhe

Masik dharm ki aniymitta ke gharelu nuskhe

89% off

Comments

  1. Thanks for sharing a such a good natural remedy Diabetes and Obesity problem which has become common in the young generation, keep sharing such good and result oriented remedies.

    Health and Nature

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

धात रोग या धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये हिन्दी मे ।धात का ईलाज

धात का ईलाज धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये                   gharelu nuskhe                                                                      दोस्तो धातु रोग या धात गिरना धात आना या जिसे हम शुक्रप्रमेह के नाम से जानते है यह हे क्या ओर इसके क्या कारण है तथा इसके क्या नुकसान है तथा इसको ठीक करने के क्या उपाये है। धातु रोग क्या है दोस्तो मल मूत्र से पहले या बाद मे मूत्रनली से कभी-कभी सफेद रंग का चिपचिपा सा द्रव्य का निकलना ही धात रोग कहलाता है।यह सफेद चिपचिपा पदार्थ ही मनी या वीर्य होता है जिसे धातु कहते है । धातु रोग के कारण धात आना या धात गिरने या धातु रोग के ज्यादातर ये कारण होते है । - कामुक विचारों मे लीन रहना - पेट मे हमेशा कब्ज रहना - मनी का अधिक जमा हो जाना - मनी का अधिक पतला होना - संभोग की अधिकता - गरम ताशीर से स्वभाव मे अधिक ताप होना ओर...

Masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe,irregular periods symptoms and home remedy

Irregular periods symptoms and treatment, masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe   Nuskhe  Mahilao ko har mahine reguler aane bali ek samany kriya he lekin kisi karan is kriya me aniymitta ya kisi prakar ki gadhbadhi aa jati he to use masik dham ki aniymitta ya Irregular menstruation  kahte he. isse mahilao ko kai pareshaniya hone lagti he atah samay per iska ilaj karna bahut jaruri he.agar koi mahila garv se hoti he to ye kriya svatah hi ruk jari he.jiski janch kara kar pushti kara lena chahiye ki period na aane ka koi or karan to nahi he.agar kisi anya karan se peirod ya masik dharm nahi aa rahe he to uska sahi ilaj jaruri he.period ya masik dharm ka na aana ya adhik aana hi masik dharm ki aniymitta ya Irregular period problem he. Narmol period ya masik dharm aane ki samay avdhi 28 dino ki hoti he par kabhi kabhi kam me22- 24 or jyada me 35 tak ho sakti he jo samanya baat he lekin isse kam ya jyada hona masik dharm ki aniymitta ya Irreg...

Bawaseer ka ilaj hindi mai।बवासीर को कैसे खत्म करे जड़ से

Bawaseer ka ilaj hindi mai jad se bawaseer ka ilaj बवासीर का ईलाज दोस्तो आज हम जानेगे bawaseer को कैसे खत्म करे जड़ से दोस्तो bawaseer का ईलाज कया है ये जानने के पहले ये जानना जरूरी है कि bawaseer  कया है और कयों होता है। बवासीर  (bawaseer)क्या है ।  दोस्तो बवासीर में मलद्वार के अंदर और बाहर दोनो जगह की नसें फूल जाती है जिससे वहां की त्वचा सख्त और संकुचित हो जाती है जिस वजह से मस्से पैदा हो जाते है जिन्हे बवासीर के मस्से कहते है ।इन मस्सो की वजह से व्यक्ति को मलद्वार पर खुजली जलन तनाव और वेदना होती है जो काफी कष्टप्रद होती है । बवासीर(bawaseer) के प्रकार बवासीर दो प्रकार की होती है। 1- खूनी बवासीर 2- बादी बवासीर अगर बवासीर के मस्सों से खून निकलता है तो उसे खूनी बवासीर कहा जाता है और खून न निकले तो उसे बादी बवासीर कहा जाता है। बवासीर (bawaseer)होने के कारण वैसे तो बवासीर होने के कई कारण है कुछ हम बता रहे है जिन पर ध्यान देकर बवासीर से बचा जा सकता है बवासीर होने के कारण घी तेल की चिकनी चीजो का अधिक सेवन ज्यादा मसालेदार भोजन का सेवन शराब और नशीली चीज...