Skip to main content

Masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe,irregular periods symptoms and home remedy

Irregular periods symptoms and treatment, masik dharm ya period ki aniymitta ke gharelu nuskhe  

nuskhe
Nuskhe

 Mahilao ko har mahine reguler aane bali ek samany kriya he lekin kisi karan is kriya me aniymitta ya kisi prakar ki gadhbadhi aa jati he to use masik dham ki aniymitta ya Irregular menstruation  kahte he.

isse mahilao ko kai pareshaniya hone lagti he atah samay per iska ilaj karna bahut jaruri he.agar koi mahila garv se hoti he to ye kriya svatah hi ruk jari he.jiski janch kara kar pushti kara lena chahiye ki period na aane ka koi or karan to nahi he.agar kisi anya karan se peirod ya masik dharm nahi aa rahe he to uska sahi ilaj jaruri he.period ya masik dharm ka na aana ya adhik aana hi masik dharm ki aniymitta ya Irregular period problem he.

Narmol period ya masik dharm aane ki samay avdhi 28 dino ki hoti he par kabhi kabhi kam me22- 24 or jyada me 35 tak ho sakti he jo samanya baat he lekin isse kam ya jyada hona masik dharm ki aniymitta ya Irregular period kahlata he .

Masik dharm ya period na aane ke lakshan (irregular periods symptoms)


Period ya masik dharm na aane se mahilao ko hone bali pareshaniya                                                                                                                 1-   kamar me dard hona,
    2- pet me dard hona,
   3-  ghabrahat hona,
   4- chakkar aana,
   5-  sir dard hona,
   6-bhookh na lagna,
   7-ulti aana,
   8- garbhasay me dard hona,
   9-  seene me dard hona,
   10- pairo me dard rahna
  aadi kai pareshaniya hone lagti he.

Period ya masik dharm ke na aane ke karan


khoon ki kami,
aalsyata ke karan,
period me thandi chijo ka adhik sevan
karna jisse adhik thand lagna,
adhik vyayam karna,
jyada paidal chalna,
khane me poshak tatvo ki kami ,
kisi manshik tanav ke karan,
atyadhik krodh karne ke karan,
bajan ya motapa badhne ke karan,
kisi dawa ke side effect ki bajah se period ya masik dharm ruk sakte he.thyriod bhi period ya masik dharm na aane ki bajah ho sakti he atah thyriod ki bhi janch kara lena chahiye.

   irregular periods home remedy , aniymit masik dharm ke gharelu nuskhe



Period problem me kisi yogya chikitsak (doctor) ko dikhana jaruri he
Par kuchh gharelu or ayuevedic upayo se bhi period ya masik dharm ki aniymitta(irregular periods problem) ko thik kiya ja sakta he .

Period ya Masik dharm na aane ke upay,mc ki aniymitta ke gharelu nuskhe

 1-amaltaas ka chhilka or bans ke patte 1-1 tola lekar pani me itna ubale ki pani aadha rah jaye fir isme 2 tola gudh mila kar chhan le or pee le .ye prayog subah khali pet kare.

 2- Binaule ki giri or shakkar ko saman matra me milakar churn bana le or iski 6 gram matra din me 2 bar kunkune pani se le.

3- kale til 1 chammach or gudh 1 chammach le or inko mix karke din me 3 bar isi tarah sevan kare .isse bahut jaldi band masik dharm khul jata he.

 4- kachche papite ko 2-3 din khane se band masik dharm khul jata he .

 5- amaltaas ka chhilka 20gram,majeeth 4 gram,abhal 4gram,shakkar 4gram le fir amaltaas ,majeeth,abhal ko ek gilas pani me itna ubale ki bo aadh rah jaye fir use chhan kar shakkar mila kar pee le ye prayog din me 2 bar kare .2-3 din me hi band masik dharm khul jata he

Masiksrav ki adhikta,Masik dharm ya period me adhik rakt aane or adhik period aane se hone bali pareshaniya 


Masik dharm ya period me adhik raktsrav hone ya adhik samay tak raktsrav hone se stariyo ke shareer per bhahut bura asar padhta he isme-

 Shareer kamjor ho jata he.
 Pyas jyada lagti he
 Chehre peela padhne lagta he .
 Nadhi ki gati tej ho jati he
 bhookh nahi lagti he
 Pet me kabj hone lagta
 Chakkar aane lagte he
 Pairo me soojan aa jati he
 In sab ki bajah se swabhav me   chidhchidha pan aa jata he.


Masiksrav ki adikta ya period me adhik rakt aane ke karan


bar bar garvpaat hone se ye rog ho jata he
bar bar garvpaat lane bali dawa ke seban se bhi ye rog ho jata he
Sambhog ki adhikta se bhi is rog ki utpatti ho jati he.

 Masiksrav ki adhikta ya preiod me   adhik rakt aane ke gharelu upay
( irregular periods home remedy )

 1- 20gram anaar ki chhal ko ek gilas pani me itna ubale ki pani aadha ho jaye ab ise chhan kar thanda karke roj subah pee le or aaram llag jane par band kar de.isse adhik raktsrav. thik ho jata he

 2- Multani mitti ko aadha kilo pani me 2 ghante bhigo kar rakh de fir use chhan kar botal me rakh le or roj aadha pao din me 4 bar sevan kare.

 3- Jamun ki taja chhal ek tola le or use aadh pao pani me ghont kar subah sham peene se period me adhik rakt aana band ho jata he .

 4- loha garm karke dudh me 3-4 bar bujhaye or ye dudh din me 3-4 bar piye isse period adhik aana band ho jata he .

 5- Geru or sangjarahat ko 30-30 gram lekar barik churn bana le or 6 gram subah sham pani se sevan karne se period ki adhikta thik ho jati he.

Irregular periods ,

aniymit masikdharm

ki ayurvedic dawa

Period ya masik dharm ki sabhi problem
Ko thik karne ke liye in ayurvedic Dawao ka sevan kiya jata he.

1- ashokarisht
Ye sabhi rajovikaro ya masik dharm ki
aniymitta me sevan karne bali uttam
ayurvedic dawa he
sevan vidhi - 10 se 25 ml samaan pani se
bhojan ke baad subah sham

2- chadraprabha vati
Sevan vidhi- 1 se 2 goli subah sham
Shahad se.

In ayurvedic dawao ka sevan niyam
Se 3 mahine tak karna jaruri he.

PEECURE Pure Tea Tree
 Essential Oil for
Skin,Acne & Hair
For Men & Women 30 ml

Shop now



Disclaimer

Is lekh me hamne masik dharm ki
aniymitta,Irregular menstruation
Ya Irregular periods problem se
sambandhit kuchh jankari or gharelu
upay aap tak pahuchane ki koshis ki he
hame aasha he ki in upayo se aap
irreguular period ki samasya se nijat
pa lenge.fir bhi kisi yogya vaid ya
chikitsak ko dikhana bhi jaruri he
kyoki har rog or vyakti ki taseer alag
hoti he.atah kisi bhi nuskhe or
vigyapan se hone bale nuksan ke liye
lekhak or blog owner ki koi jababdari
nahi hogi.

or agar aap ko hamara lekh achchha
laga ho to hamare blog ko subscribs
jarur kare.taki hamara aane bala lekh
sidhe aap tak pahuch sake.

Danyabad.
89% off

Comments

Popular posts from this blog

धात रोग या धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये हिन्दी मे ।धात का ईलाज

धात का ईलाज धातु रोग के आयुर्वेदिक उपाये                   gharelu nuskhe                                                                      दोस्तो धातु रोग या धात गिरना धात आना या जिसे हम शुक्रप्रमेह के नाम से जानते है यह हे क्या ओर इसके क्या कारण है तथा इसके क्या नुकसान है तथा इसको ठीक करने के क्या उपाये है। धातु रोग क्या है दोस्तो मल मूत्र से पहले या बाद मे मूत्रनली से कभी-कभी सफेद रंग का चिपचिपा सा द्रव्य का निकलना ही धात रोग कहलाता है।यह सफेद चिपचिपा पदार्थ ही मनी या वीर्य होता है जिसे धातु कहते है । धातु रोग के कारण धात आना या धात गिरने या धातु रोग के ज्यादातर ये कारण होते है । - कामुक विचारों मे लीन रहना - पेट मे हमेशा कब्ज रहना - मनी का अधिक जमा हो जाना - मनी का अधिक पतला होना - संभोग की अधिकता - गरम ताशीर से स्वभाव मे अधिक ताप होना ओर...

Bawaseer ka ilaj hindi mai।बवासीर को कैसे खत्म करे जड़ से

Bawaseer ka ilaj hindi mai jad se bawaseer ka ilaj बवासीर का ईलाज दोस्तो आज हम जानेगे bawaseer को कैसे खत्म करे जड़ से दोस्तो bawaseer का ईलाज कया है ये जानने के पहले ये जानना जरूरी है कि bawaseer  कया है और कयों होता है। बवासीर  (bawaseer)क्या है ।  दोस्तो बवासीर में मलद्वार के अंदर और बाहर दोनो जगह की नसें फूल जाती है जिससे वहां की त्वचा सख्त और संकुचित हो जाती है जिस वजह से मस्से पैदा हो जाते है जिन्हे बवासीर के मस्से कहते है ।इन मस्सो की वजह से व्यक्ति को मलद्वार पर खुजली जलन तनाव और वेदना होती है जो काफी कष्टप्रद होती है । बवासीर(bawaseer) के प्रकार बवासीर दो प्रकार की होती है। 1- खूनी बवासीर 2- बादी बवासीर अगर बवासीर के मस्सों से खून निकलता है तो उसे खूनी बवासीर कहा जाता है और खून न निकले तो उसे बादी बवासीर कहा जाता है। बवासीर (bawaseer)होने के कारण वैसे तो बवासीर होने के कई कारण है कुछ हम बता रहे है जिन पर ध्यान देकर बवासीर से बचा जा सकता है बवासीर होने के कारण घी तेल की चिकनी चीजो का अधिक सेवन ज्यादा मसालेदार भोजन का सेवन शराब और नशीली चीज...