Gharelu nuskhe/ dadi maa ke chamatkari gharelu nuskhe
Gharelu nuskhe |
Gharelu nuskhe
Haldi ke gharelu nuskhe
1 - khansi - haldi ke ek tukdhe ko senkkar sote samay choosne se khansi theek hoti he.
2 - bawaseer - haldi ko bhoonj kar churn bana le or ek chhoti chammach churn ko aloevera ke ras me milakar subah sham khane se bawaseer me aaram milta he.
Or jane- Bawaseer ka ilaj hindi mai
3 - sharirik dard - ek gilas dudh me adha chhoti chammach haldi milakar peene se sharirik dard me aaram milta he.Or jane- Bawaseer ka ilaj hindi mai
Heeng ke gharelu nuskhe
1 - daant dard - heeng ko pani me ubaal kar kulle karne se daant dard theek hota he.2 - pet ki gas - chutki bhar heeng ko garm pani ke shanth peene or pet tatha naabhi ke aas paas heeng malne se pet ki gas me rahat milti he.
3 - patle dast - thodhi si heeng ko angaaro per bhoonj kar pani ke shanth nigalne se patle dast lagna theek ho jata he.
Kali mirch ke gharelu nuskhe
Gharelu nuskhe |
2 - khansi - shahad aadha chammach me 1/4 chammach kali mirch churn milakar din me 2-3 bar chatne se khansi theek ho jati he.
3 - gas ki shikayat - ek cup kunkune pani me aadha. Chsmmach kali mirch churn, aadha chammach kala namak or aadhe neebu ka ras milakar peene se gas ki shikayat me turant labh hota he.
Maithi ke gharelu nuskhe
1 - khansi - maithi ke dane 6 gram lekar pani me ubaalkar chhan le fir isme 20 gram shahad milakar peele isse sab prakar ki khansi theek ho jati he.2 - kabz - maithi ka churn 1/4 chammach ko 1 chammach gudh me milakar khane se kabz se rahat mil jati he.
Or jane- kabz ke gharelu nuskhe
3 - prader rog - maithi churn 5 gram me thodha sa gudh or ghee milakar sevan karne se prader rog me aaram milta he.
Tej patta ke gharelu nuskhe
1 - sir dard - sir dard ho raha ho to 4-5 tej patto ko pani me peeskar sir par lep kare sir dard me aaram milega.2 - jukham - tej patte ko ubaal kar peene se jukham theek hota he
3 - rakt pitt - matke ke pani me rat ko tej patte dal de dusre din in tej patto ko usi pani me peeskar sharbat bana kar har 4-4 ghante me peete rahe isse rakt pitt yani pesab me rakt aane ki shikayat dur ho jati he.
Disclaimer
Dosto hamne app tak ayurvedic or gharelu nuskhe ki sahi or uchit jankari pahuchane ki puri koshis ki he.fir bhi app kisi bhi nuskhe ya ayurvedic medicine ke upyog se pahle kisi yogya vaid ya chikitsak ki salah jarur le.kyoki her bimari or vyakti ki taseer alag - alag hoti he .atah kisi bhi jankari ya vigyapan se hone bale nuksan ke liye lekhak(writer) or blog owner ki koi jababdari nahi hogi .dhanyabad89% off
Comments
Post a Comment